Yeh Jo Halka Saroor Hae

Yeh Jo Halka Halka Suroor Hai Lyrics

Saqi Ki Har Nigah Pay Bal Kha K P Gaya

Lehroon Say Khailta Hoa Lehra K P Gaya

Ey Rehmat-e-tamaam Meri Har Khata Muaf

Mein Intiha-e-shouq Say Ghabra K P Gaya

Peta Baghair Izm Yeah Kab Thi Meri Majaal

Dar Pardah Chashm-e-yaar Ki Shay Pa K P Gaya

Paas Rehta Hai Duur Rehta Hai

Koi Dil Mein Zaroor Rehta Hai

Jab Say Dekha Hai Un Ki Aankhon Ko

Halka Halka Suroor Rehta Hai

Aisay Rehtay Hein Koi Mere Dil Mein

Jaisay Zulmat Mein Noor Rehta Hai

Ub Adam Ka Yeah Haal Hai Har Waqt

Mast Rehta Hai Chuur Rehta Hai

Yeah Joh Halka Halka Saroor Hai

Yeah Teri Nazar Ka Qasoor Hai

K Sharab Peena Sikha Diya

Tairay Pyar Nai, Teri Chaah Nai

Teri Behki Behki Nigaah Nai

Mujhay Ik Sharabi Bana Diya

Sharab Kaisi, Khumaar Kaisa

Yeah Sub Tumhari Nawazishein Hein

Pilai Hai Kiss Nazar Say Tu Nai

K Mujhko Apni Khabar Nahi Hai

Teri Behki Behki Nigah Nai

Mujhe Ik Sharabi Bana Dia....

Sara Jahan Must, Jahan Ka Nizam Must

Din Must, Raat Must, Saher Must, Shaam Must

Dil Must, Sheesha Must, Sabu Must, Jaam Must

Hai Teri Chashm-e-must Say Her Khaas-o-aam Must

Yoon To Saqi Her Tarah Ki Tere Maikhane Mein Hai

Woh Bhi Thori Si Jo In Aankhon K Paimane Mein Hai

Sub Samajhta Hoon Teri Ishwa-kari Ay Saqi

Kaam Karti Hai Nazar Naam Hai Paimane Ka.. Bus!

Teri Behki Behki Nigah Nai

Mujhe Ik Sharabi Bana Diya...

Tera Pyar Hai Meri Zindagi

Tera Pyar Hai Meri Bandagi

Tera Pyar Hai Bas Meri Zindagi, Tera Pyar Hai Bas Meri Zindagi

Na Namaz Aati Hai Mujhko, Na Wazoo Aata Hai

Sajda Kar Leta Hoon, Jab Saamnay Tu Aata Hai

Bus Meri Zindagi Tera Pyar Hai....

Mai Azal Say Banda-e-ishq Hoon, Mujhe Zohd-o-kufr Ka Gham Nahin

Mere Sir Ko Dar Tera Mil Gaya, Mujhe Ab Talash-e-haram Nahi

Meri Bandagi Hai Wo Bandagi, Jo Muqeed-e-dair-o-haram Nahi

Mera Ik Nazar Tumhein Dekhna, Ba Khuda Namaz Se Kam Nahi

Bus Meri Zindagi Tera Pyar Hai...

Bus Meri Zindagi Tera Pyar Hai...

Tera Naam Loon Zubaan Say, Tere Aagay Sir Jhuka Doon

Mera Ishq Keh Raha Hai, Mein Tujhe Khuda Bana Doon

Tera Naam Mere Lub Per, Mera Tazkara Hai Dar Dar

Mujhay Bhool Ja'ay Dunya, Mein Agar Tujhe Bhula Doon

Mere Dil Mein Bus Rahe Hein, Tere Bepanah Jalwe

Na Ho Jiss Mein Noor Tera, Woh Charagh Hi Bujha Doon

Jo Pucha K Kis Tarah Hoti Hai Baarish, Jabeen Se Paseene Ki Boondein Gira Di

Jo Pucha K Kis Tarah Girti Hai Bijli, Nigahein Milaein Mila Kar Jhuka Dein

Jo Pucha Shab-o-roz Milte Hain Kaise, To Chehre Pe Apne Wo Zulfein Hata Deein

Jo Pucha K Naghmon Mein Jaadu Hai Kaisa, To Meethe Takallum Mein Baatein Suna Deein

Jo Apni Tamanaon Ka Haal Poocha , To Jalti Howi Chand Shamein Bhujha Deein

Main Kehta Reh Gaya Khata-e-mohabbat Ki Achi Saza Di

Mere Dil Ki Dunya Bana Kar Mita Di, Acha!

Mere Baad Kisko Satao Gay,

Mujhe Kis Tarah Se Mitao Gay

Kahan Ja Ke Teer Chalao Gay

Meri Dosti Ki Balaein Lo

Mujhe Haath Utha Kar Duaein Do, Tumhein Ek Qatil Bana Diya

Mujhe Daikho Khuwahish-e-jan-e-jaan

Main Wohi Hoon Anwar-e-nim Jaan

Tumhain Itna Hosh Tha Jub Kahan

Na Chalao Is Tarah Tum Zaban

Karo Mera Shukriya Meherban

Tumhein Baat Karna Sikha Diya...

Yeh Jo Halka Halka Saroor Hai, Yeh Teri Nazar Ka Kasoor Hai

Kay Sharab Peena Sikha Diya

(Nusrat Fateh Ali Khan & Party)

Tomb
Enviado por Tomb em 06/12/2010
Código do texto: T2656972
Copyright © 2010. Todos os direitos reservados.
Você não pode copiar, exibir, distribuir, executar, criar obras derivadas nem fazer uso comercial desta obra sem a devida permissão do autor.